اردو हिंदी
Raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga | Shaahi Shayari
raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga

Ghazal

Raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga

Zakir Khan Zakir

;

raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga
chand be-faiz andheron mein nikalta hoga

chand lamhon ki rifaqat ka asar hai shayad
dard miTha sa kahin aur bhi uThta hoga

hichkiyon se yahi andaza lagaya hum ne
yaad koi to dil-o-jaan se karta hoga

sath guzre hue mausam ka tasawwur le kar
barishon mein wo har ek sal bahakta hoga

bas yahi soch ke har rose likha karta hun
wo mera gham mere ashaar mein paDhta hoga

us ke ashkon ka gunahgar main ho jaunga
wo mujhe yaad agar kar ke sisakta hoga

yaad hongi use bhuli hui qasmen 'zakir'
wo mere zikr pe chup-chap Thaharta hoga