raat ka apna ek taqaddus hai so use paemal mat karna
jab diye guftugu ke raushan hon lauTne ka sawal mat karna
mausam-e-yaad ka koi jhonka, ab jo guzre tumhaari KHalwat se
soch lena hamare bare mein, par hamara malal mat karna
rat-jagon ki ruten to KHair yunhi aati jati hain, par ye dhyan rahe
jagna bhi to is saliqe se, apni aankhon ko lal mat karna
hum se darwesh duniya walon se, bas isi baat par ulajhte hain
wahshat-e-jism-o-jaan baDi shai hai KHud ko aasuda-haal mat karna
dasht-e-ibrat-sara mein rahna tu sar se sauda nikal kar rakhna
log dushman kahin na ho jaen koi aisa kamal mat karna
lamha-e-hijr apni wusat mein, aap lazzat hai, zindagi bhar ki
tum bhi 'KHalid-moin' yun karna, umr sarf-e-visal mat karna
Ghazal
Raat ka apna ek taqaddus hai so use paemal mat karna
Khalid Moin