raat itni ja chuki hai aur sona hai abhi
is nagar mein ek KHushi ka KHwab bona hai abhi
kyun diya dil us but-e-kamsin ko aise waqt mein
dil si shai jis ke liye bas ek khilauna hai abhi
aisi yaadon mein ghire hain jin se kuchh hasil nahin
aur kitna waqt un yaadon mein khona hai abhi
jo hua hona hi tha so ho gaya hai dosto
dagh is ahd-e-sitam ka dil se dhona hai abhi
hum ne khilte dekhna hai phir KHayaban-e-bahaar
shahr ke atraf ki miTTi mein sona hai abhi
baiTh jaen saya-e-daman-e-ahmad mein 'munir'
aur phir sochen wo baaten jin ko hona hai abhi
Ghazal
Raat itni ja chuki hai aur sona hai abhi
Muneer Niyazi