raat hai ya hawa makanon mein
jal raha hai diya makanon mein
jaane kya ho gaya makinon ko
jaane kya ho gaya makanon mein
log kin wahimon mein rahte hain
kaTte hain saza makanon mein
ek sitara zamin par utra
aur phir kho gaya makanon mein
aisa lagta hai KHwab ki tabir
dekhta hai KHuda makanon mein
ek sae se roz hota hai
aamna-samna makanon mein
in sitaron ka mashghala hai 'rasa'
takna-jhankna makanon mein
Ghazal
Raat hai ya hawa makanon mein
Rasa Chughtai

