raat gahri hai magar ek sahaara hai mujhe
ye meri aankh ka aansu hi sitara hai mujhe
main kisi dhyan mein baiTha hun mujhe kya malum
ek aahaT ne kai bar pukara hai mujhe
aankh se gard haTata hun to kya dekhta hun
apne bikhre hue malbe ka nazara hai mujhe
ai mere laDle ai naz ke pale hue dil
tu ne kis ku-e-malamat se guzara hai mujhe
main to ab jaise bhi guzregi guzarunga yahan
tum kahan jaoge dhaDka to tumhaara hai mujhe
tu ne kya khol ke rakh di hai lapeTi hui umr
tu ne kin aaKHiri lamhon mein pukara hai mujhe
main kahan jata tha us bazm-e-nazar-bazan mein
lekin ab ke tere abru ka ishaara hai mujhe
jaane main kaun tha logon se bhari duniya mein
meri tanhai ne shishe mein utara hai mujhe
Ghazal
Raat gahri hai magar ek sahaara hai mujhe
Faizi