اردو हिंदी
Raat din subh o sham likhta hun | Shaahi Shayari
raat din subh o sham likhta hun

Ghazal

Raat din subh o sham likhta hun

Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027

;

raat din subh o sham likhta hun
aur bas tera nam likhta hun

mere mazi ke gum-shuda sathi
roz tujh ko salam likhta hun

ye ibarat sambhaal kar rakhna
zindagi tere nam likhta hun

teri KHatir hai KHas kar ye ghazal
yun to ashaar-e-am likhta hun

waqt ki ret par na jaane kyun
main 'KHayal' apna nam likhta hun