raat-din pur-shor sahil jaisa manzar mujh mein tha
tum se pahle maujzan koi samundar mujh mein tha
aaj teri yaad se Takra ke TukDe ho gaya
wo jo sadiyon se luDhakta ek patthar mujh mein tha
jite-ji sahn-e-mazar-e-dost tha mera wajud
ek shikasta sa piyala aur kabutar mujh mein tha
main kahan jata dikhane apne andar ka kamal
jo kabhi mujh par na khul paya wo jauhar mujh mein tha
DhunDhta phirta hun us ko raat din KHud mein 'hasan'
wo jo kal tak mujh se bhi ek shaKHs behtar mujh mein tha
Ghazal
Raat-din pur-shor sahil jaisa manzar mujh mein tha
Hasan Abbasi