raat din aag mein pala suraj
ban charagh-e-haram jala suraj
zindagi dhup chhanw donon hai
har kisi ko sikha gaya suraj
aaj ji bhar ke dhup khani hai
muddaton baad hai uga suraj
sanjh se ab visal hone ko hai
sahma sahma thaka thaka suraj
samna pyas se hua jab jab
aab ki samt chal paDa suraj
bhul ja raat ka chubha kanTa
phul ab to khila gaya suraj
koi mazhab nahin laga is ka
raushni ek si de gaya suraj
nur hi nur hai mere andar
mujh mein 'sima' sama gaya suraj
Ghazal
Raat din aag mein pala suraj
Seema Sharma Meeruthi