اردو हिंदी
Raat chhalki sharab aankhon mein | Shaahi Shayari
raat chhalki sharab aankhon mein

Ghazal

Raat chhalki sharab aankhon mein

Kirti Ratan Singh

;

raat chhalki sharab aankhon mein
mahke sare hi KHwab aankhon mein

dekho tum aisa kuchh nahin kahna
hon jo ninden KHarab aankhon mein

sach kahun tum ne wo paDhi hi nahin
hai jo likkhi kitab aankhon mein

kya kahen teri is ada ko hum
dete rahna jawab aankhon mein

tum ne jis din se mujh ko chaha hai
khil uThe hain gulab aankhon mein

muntazir hun teri nigahon ki
ban ke rahna nawab aankhon mein

ai 'ratan' tujh se iltija hai yahi
oDhe rahna naqab aankhon mein