اردو हिंदी
Raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha | Shaahi Shayari
raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha

Ghazal

Raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha

Ibrahim Ashk

;

raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha
shahr ki aabaadiyon mein apne jaisa main hi tha

main hi dariya main hi tufan main hi tha har mauj bhi
main hi KHud ko pi gaya sadiyon se pyasa main hi tha

kis liye katra ke jata hai musafir dam to le
aaj sukha peD hun kal tera saya main hi tha

kitne jazbon ki nirali KHushbuen thin mere pas
koi un ka chahne wala nahin tha main hi tha

dur hi se chahne wale mile har moD par
fasle sare miTane ko taDapna main hi tha

meri aahaT sunne wala dil na tha duniya ke pas
raste mein 'ashk' be-maqsad jo bhaTka main hi tha