اردو हिंदी
Raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh | Shaahi Shayari
raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh

Ghazal

Raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh

Iftikhar Bukhari

;

raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh
sab ki aankhon mein hai jaise koi roi hui subh

pak jazbon ke samundar se nithaara hua nur
nek sochon ki biloni se biloi hui subh

phul be-rang faza zard parinde KHamosh
sham ki god mein thak-haar ke soi hui subh

kaun dekhega mere ashk ko suraj bante
kaun kaTega meri aankh ki boi hui subh

yun bhi lauTenge watan ko kabhi hum hijr-nasib
DhunDhti hogi hamein bhi koi khoi hui subh