raat ajab aaseb-zada sa mausam tha
apna hona aur na hona mubham tha
ek gul-e-tanhai tha jo hamdam tha
KHar o ghubar ka sarmaya bhi kam kam tha
aankh se kaT kaT jate the sare manzar
raat se rang-e-dida-e-hairan barham tha
jis aalam ko hu ka aalam kahte hain
wo aalam tha aur wo aalam paiham tha
KHar KHamida-sar the bagule be-awaz
sahra mein bhi aaj kasi ka matam tha
raushniyan atraf mein 'zehra' raushan thin
aaine mein aks hi tera maddham tha
Ghazal
Raat ajab aaseb-zada sa mausam tha
Zehra Nigaah