اردو हिंदी
Raat aati hai to taqon mein jalate hain charagh | Shaahi Shayari
raat aati hai to taqon mein jalate hain charagh

Ghazal

Raat aati hai to taqon mein jalate hain charagh

Aslam Mahmood

;

raat aati hai to taqon mein jalate hain charagh
KHwab zinda hain so aankhon mein jalate hain charagh

aandhiyan ab hamein mahsur kiye baiThi hain
ab to hum sirf KHayalon mein jalate hain charagh

Thokaren khate hue umr kaTi apni so hum
dusron ke liye rahon mein jalate hain charagh

tanz karta hua guzra tha hawa ka jhonka
tab se hum tez hawaon mein jalate hain charagh

tishna-lab aaenge dariyaon ke Thukrae hue
isi bais to sarabon mein jalate hain charagh

KHwab bikhre hain hamare yahan har gam so hum
sham hote hi KHarabon mein jalate hain charagh