اردو हिंदी
Raste tera sahi sine to be-nur nahin | Shaahi Shayari
raste tera sahi sine to be-nur nahin

Ghazal

Raste tera sahi sine to be-nur nahin

Zia Jalandhari

;

raste tera sahi sine to be-nur nahin
aankh jo dekh rahi hai hamein manzur nahin

peD pat-jhaD mein lahu rote hain afsurda na ho
shaKH mein nam hai to phir mausam-e-gul dur nahin

mushkilen dil mein nai shamen jala deti hain
gham se bujh jaana to durweshon ka dastur nahin

jaane kya gham tha ki chup oDh ke wo baiTh raha
wo kam-amez to hai yaro pa maghrur nahin