raste mein aa rahe hain jo nadi nale na dekh
manzilon ki chah hai to panw ke chhaale na dekh
rah-e-haq par gamzan rah aur haq ki baat kar
kya sitam Dhaenge tujh par ye sitam wale na dekh
himmat-e-mardan agar qaem hai to phir fikr kya
zulm ke sar ko kuchal de haq ke matwale na dekh
mere bhai aadmi ki aadamiyat ko parakh
muflis-o-nadar ya phir mal-o-zar wale na dekh
husn-e-baatin husn-e-zahir se baDi shai hai na bhul
rang hain donon KHuda ke gore aur kale na dekh
ye hai tariKHi imarat is ki azmat ko salam
gard aaluda imarat mein lage jale na dekh
khul ja sim-sim khul ja sim-sim kab talak chillaega
tu ali-baba nahin hai toD de tale na dekh

Ghazal
Raste mein aa rahe hain jo nadi nale na dekh
Tanweer Gauhar