اردو हिंदी
Raste ke pech-o-KHam kya shai hain socha hi nahin | Shaahi Shayari
raste ke pech-o-KHam kya shai hain socha hi nahin

Ghazal

Raste ke pech-o-KHam kya shai hain socha hi nahin

Ajmal Ajmali

;

raste ke pech-o-KHam kya shai hain socha hi nahin
hum safar par jab se nikle muD ke dekha hi nahin

do ghaDi ruk kar Thahar kar sochte manzil ki baat
raste mein koi aisa moD aaya hi nahin

zindagi ke sath hum nikle the le kar kitne KHwab
zindagi bhi KHatm hai mausam badalta hi nahin

ek diya yaadon ka tha raushan thi jis se bazm-e-shab
jaane kya guzri kai raaton se jalta hi nahin

zindagi bhar pai-ba-pai hum ne kurede apne zaKHm
hum se chhuT kar us pe kya guzri ye socha hi nahin

aarzu thi khinchte hum bhi koi aks-e-hayat
kya karen ab ke lahu aankhon se Tapka hi nahin

is tarah kaise ho 'ajmal' chaara-e-dil ki ummid
dard apna aaKHiri had se guzarta hi nahin