rasta de ai hujum-e-shahr ghar jaenge hum
aur tere darmiyan Thahre to mar jaenge hum
KHush-KHiram aaankhon mein us ka aks utarta hi nahin
ab ke us ke pas le kar chashm-e-tar jaenge hum
wo nahin to dhul hi mil jae us ke panw ki
us gali mein ab ke ban kar rahguzar jaenge hum
shayad us dahliz par rakkha ho ab bhi wo charagh
wapsi ki rah mein phir us ke ghar jaenge hum
umr bhar paDhte rahenge ek yahi aKHbar-e-husn
aur sare sanehon se be-KHabar jaenge hum
jism ka kuza hai apna aur na ye dariya-e-jaan
jo laga lega labon se us mein bhar jaenge hum
ishq ne roz-e-azal hi kar diya tha faisla
phir kahan duniya ke kahne se sudhar jaenge hum
'farhat-ehsas' apne shagirdon mein shamil kar hamein
warna is duniya se yunhi ba-hunar jaenge hum
Ghazal
Rasta de ai hujum-e-shahr ghar jaenge hum
Farhat Ehsas