ras aane lagi thi tanhai
yaad-e-mahbub tu kahan aai
phir uThata hun minnat-e-tiflan
phir hai sauda-e-nang-e-ruswai
phir wahi karobar-e-raaz-o-niyaz
phir wahi shauq-e-KHalwat-arai
phir wahi aastan hai aur main hun
phir wahi sar hai aur jabin-sai
phir wahi subh aur azm-e-safar
phir wahi sham aur tanhai
dekh kar tujh ko dekhta hi raha
ek didar ka tamannai
teri KHidmat mein nazr hai ye ghazal
ai sarapa ghazal ki ranai
Ghazal
Ras aane lagi thi tanhai
Zulfiqar Ali Bukhari