اردو हिंदी
Ras aai na mujhe anjuman-arai bhi | Shaahi Shayari
ras aai na mujhe anjuman-arai bhi

Ghazal

Ras aai na mujhe anjuman-arai bhi

Hidayatullah Khan Shamsi

;

ras aai na mujhe anjuman-arai bhi
aafat-e-jaan bani hae shanasai bhi

dushmanon ki mere auqat kahan thi itni
sazish-e-qatl mein shamil tha mera bhai bhi

aankh andhi thi zamane se yahan logon ki
mar gai zer-e-dahan quwwat-e-goyai bhi

tujh se nisbat ho koi sang-e-malamat ki agar
mujh ko pyari hai tere shahr mein ruswai bhi

kashti-e-zist jahan Dub rahi thi meri
mere apne the wahan log tamashai bhi

kar diya mujh ko masail ne abhi se buDha
waqt ne ruKH se mere chhin li ranai bhi

muflisi jin ke muqaddar mein likhi hai 'shamsi'
un ke ghar bajti nahin hai kabhi shahnai bhi