rahon ke unch-nich zara dekh-bhaal ke
han rahraw-e-murad qadam rakh sambhaal ke
fitnon ko dekh apne qadam rok baiTh ja
raaten ye aafaton ki hain ye din wabaal ke
main sargiran tha hijr ki raaton ke qarz se
mayus ho ke lauT gae din visal ke
kuchh ye na tha ki main ne na samjhi bisat-e-dahr
main KHud hi khel haar gaya dekh-bhaal ke
saman-e-dil ko be-sar-o-samaniyan milin
kuchh aur bhi jawab the mere sawal ke
lamhon ki lai pe guzri hain raaten nashat ki
kis dhun mein din kaTenge ye ranj o malal ke
taKHliq hai meri teri taKHliq se alag
main bhi banata rahta hun paikar KHayal ke
pyasi zamin-e-dil hai paDa qaht-e-fasl-e-shauq
han ai hawa kidhar gae din barshgal ke
'baqar' ye dant bich zaban band kyun hui
qael to aap bhi the bahut qil-o-qal ke
Ghazal
Rahon ke unch-nich zara dekh-bhaal ke
Sajjad Baqar Rizvi