اردو हिंदी
Rah mein uski chalen aur imtihan koi na ho | Shaahi Shayari
rah mein uski chalen aur imtihan koi na ho

Ghazal

Rah mein uski chalen aur imtihan koi na ho

Fayyaz Farooqi

;

rah mein us ki chalen aur imtihan koi na ho
kaise mumkin hai ki aatish ho dhuan koi na ho

us ki marzi hai wo mil jae kisi ko bhiD mein
aur kabhi aise mile ki darmiyan koi na ho

jagmagata hai sitara ban ke tab ummid ka
bujh gae hon sab diye aur kahkashan koi na ho

KHana-e-dil mein wo rahta kab kisi ke sath hai
jalwagar hota hai wo jab mehman koi na ho

kaise mumkin hai ki qisse jis se sab wabasta hon
wo chale aur sath us ke dastan koi na ho

sare aalam par wo likh deta hai us ka nam jab
koi KHud ko yun miTa le ki nishan koi na ho

ban ke lashkar sath ho jata hai wo 'fayyaz' jab
ham-safar koi na ho aur karwan koi na ho