اردو हिंदी
Rah mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa rahta hun | Shaahi Shayari
rah mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa rahta hun

Ghazal

Rah mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa rahta hun

Muneer Shikohabadi

;

rah mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa rahta hun
har ghaDi banne bigaDne ko paDa rahta hun

umr-e-rafta na kabhi aae manane ke liye
muddaten guzrin ki jine se KHafa rahta hun

sifat-e-kina mera ghar hai falak ke dil mein
girah-e-dushman-e-KHatir mein bandha rahta hun

fitna-e-hashr ye kahta hai mujhe puchhe kaun
daman-e-yar ke gosha mein paDa rahta hun

qaid hun par sitam-e-ghaflat-e-jauhar se 'munir'
ghussa ban kar dil-e-zindan mein bhara rahta hun