rah mein qadmon se jo lipTi safar ki dhul thi
tum ne aankhon mein jagah di ye tumhaari bhul thi
umr bhar laDta raha jo waqt ki chaTTan se
kal mere kandhe pe us ki lash jaise phul thi
KHair in baaton mein kya rakkha hai qissa KHatm kar
main tujhe hamdard samjha tha ye meri bhul thi
dosti ka haq nibhaya teri KHatir laD paDe
warna sach ye hai ki us ki baat hi maqul thi

Ghazal
Rah mein qadmon se jo lipTi safar ki dhul thi
Rasheed Afroz