rah jo chalni hai us mein KHubiyan koi nahin
ruh apni chhoD ke waqt-e-giran koi nahin
dahr hai jalta hua aur pattharon ke aadmi
chilchilati dhup hai aur aashiyan koi nahin
aur kitna aazmana jo hua wo KHub hai
tum wahi ho hum wahi raaz-e-nihan koi nahin
hai naya kuchh bhi nahin kyun is qadar hairan hue
sath chalne ko tumhaare ai miyan koi nahin
samne maqtal hua lo fikr se KHarij hue
bas yahi rasta hai jis ke darmiyan koi nahin

Ghazal
Rah jo chalni hai usMein KHubiyan koi nahin
Urmila Madhav