اردو हिंदी
Rah-e-talab mein dam-o-diram chhoD jaenge | Shaahi Shayari
rah-e-talab mein dam-o-diram chhoD jaenge

Ghazal

Rah-e-talab mein dam-o-diram chhoD jaenge

Junaid Akhtar

;

rah-e-talab mein dam-o-diram chhoD jaenge
likh lo hamare sher baDe kaam aaenge

jhuTa hai jhuT baat ye bolega aaina
aao hamare samne hum sach bataenge

tanha jo apna bojh uThae hue hain KHud
mar jaen hum to chaar ye mil kar uThaenge

thoDi si be-KHudi ho to hum uTh ke chal paDen
hosh-o-hawas mein to qadam laDkhaDaenge

hum ne tumhaare baad jalaya nahin charagh
tum kya samajh rahe the ki hum dil jalaenge

'aKHtar' hum aasman pe aa to gae magar
aisa nahin ki apni zamin bhul jaenge