اردو हिंदी
Rah dushwar bhi hai be-sar-o-samani bhi | Shaahi Shayari
rah dushwar bhi hai be-sar-o-samani bhi

Ghazal

Rah dushwar bhi hai be-sar-o-samani bhi

Abrar Ahmad

;

rah dushwar bhi hai be-sar-o-samani bhi
aur is dil ko hai kuchh aur pareshani bhi

ye jo manzar tere aage se sarakta hi nahin
is mein shamil hai teri aankh ki hairani bhi

apne majbur pe kuchh aur karam ho ki use
kam paDi jati hai ab gham ki farawani bhi

sirf afsos ka saya hi nahin hai hum par
hum ki hain KHwab-e-tab-o-tab ke zindani bhi

be-niyazi ki wo KHu jaise kabhi thi hi nahin
KHwab the jaise wo ayyam-e-tan-asani bhi

rah teri chhoD ke kyun jaanib-e-duniya aae
hum ko jine nahin deti ye pashemani bhi