اردو हिंदी
Qurbat-e-husn mein bhi dard ke aasar mile | Shaahi Shayari
qurbat-e-husn mein bhi dard ke aasar mile

Ghazal

Qurbat-e-husn mein bhi dard ke aasar mile

Shafqat Tanveer Mirza

;

qurbat-e-husn mein bhi dard ke aasar mile
chaara-gar ishq ke marham ke talabgar mile

dast-o-pa apne to wabasta-e-zanjir sahi
ek tamanna thi koi sahab-o-muKHtar mile

han junun-KHezi-e-dil rehn-e-masarrat na hui
KHush hui wahshat-e-gham jab rasan-o-dar mile

KHak uDaen ki nae shahr basaen yaro
hum ba-har-rang har ek shauq se bezar mile

hum hain is kar-gah-e-shisha-garan mein hairan
aaine tab-e-nazara ke talabgar mile

shauq-e-be-minnat-e-ehsan-e-digar kya kahiye
KHud se is shauq mein hum bar-sar-e-paikar mile

dasht-e-majnun tha koi tesha-farhad koi
ishrat-e-marg sahi hila-e-be-kar mile

KHwahish-e-marg dar-e-yar-e-tamanna hi sahi
sar magar dosh pe hum ko bhi giran-bar mile

shab qayamat si guzar jati hai tanhai mein
baKHt-yawar hai jise dida-e-bedar mile

apne ham-sae mein wo hai jise dekha bhi nahin
aise ham-sae ki diwar se diwar mile