qurban jaun husn-e-qamar intisab ke
aariz hain ya hain phul shagufta gulab ke
ab din kahan rahe wo hamare sabaat ke
ek dhup thi jo sath gai aaftab ke
har ek ada mein us ki hai qaus-e-quzah ka rang
hai guftugu mein kitne hawale kitab ke
haalat ne jhinjhoD ke hoshiyar to kiya
jage hue hain phir bhi to aasar KHwab ke
phaila chuke hain firqa-parasti ka zahr wo
aae hain samne jo adad intiKHab ke
goli se hal na honge mohabbat se honge hal
qaziye hon kashmir ke ya panj-ab ke
nikli saron ki fasl hai gobhi ke khet se
khilte jahan ye phul the kal tak gulab ke
pir-e-mughan se 'faKHr' yahi ek sawal hai
aundhe hain aaj jam-o-subu kyun sharab ke

Ghazal
Qurban jaun husn-e-qamar intisab ke
Iftikhar Ahmad Fakhr