qufl-e-sad-KHana-e-dil aaya jo tu TuT gae
jo tilismat na TuTe the kabhu TuT gae
saikDon kasa sar-e-dahr mein manind-e-habab
kabhu ai charKH bane tujh se kabhu TuT gae
Tanke kya jaib ke phir baad-e-rafu TuT gae
ho ke naKHun kabhi sine mein faro TuT gae
tu jo kahta hai ki de ghair ko bhi saghar-e-mai
hath kya us ke hain ai aaina-ru TuT gae
kyunke bin kashti-e-mai kijiye sair-e-dariya
mai-kasho zer-e-baghal ab to kadu TuT gae
dekh kar surme ki tahrir teri aankhon mein
kafiron ke bhi hain zunnar gulu TuT gae
sadma-e-gham se tere jun gul-bazi afsos
sare aaza mere ai arbada-ju TuT gae
sang-e-ghairat se kai aaine ai ahd shikan
dekh kar saf tera ru-e-naku TuT gae
tir dil se wo nikalte hain koi jazba-e-shauq
nikle sufar jo sine se gulu TuT gae
dil shikasta hi raha baad-e-fana bhi main to
ki meri KHak se bante hi subu TuT gae
shiddat-e-girya se tha raat ye ashkon ka hujum
chashm-e-tar phir mere mizhgan ke hain mu TuT gae
gulshan-e-ishq mein allah hai kya kasrat-e-bar
bin hawa kitne hi naKHl-e-lab-e-ju TuT gae
kah ba-tabdil-e-qawafi ghazal ek aur bhi 'zauq'
dekhen biThlae hai kis tarah se tu TuT gae

Ghazal
Qufl-e-sad-KHana-e-dil aaya jo tu TuT gae
Sheikh Ibrahim Zauq