اردو हिंदी
Qismat mein KHushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai | Shaahi Shayari
qismat mein KHushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai

Ghazal

Qismat mein KHushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai

Aal-e-Raza Raza

;

qismat mein KHushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai
ghar phunk tamasha dekh chuke ab jangal jangal rona hai

hasti ke bhayanak nazzare sath apne chale hain duniya se
ye KHwab-e-pareshan aur hum ko ta-subh-e-qayamat sona hai

dam hai ki hai ukhDa ukhDa sa aur wo bhi nahin aa chukte hain
qismat mein ho marna ya jina ab ho bhi chuke jo hona hai

dil hi to hai aaKHir bhar aaya tum chin-ba-jabin kyun hote ho
hum tum ko bhala kuchh kahte hain taqdir ka apni rona hai

gham kahe ka yaro matam kya badloge nizam-e-alam kya
marna tha 'raza' ko marta hai ye kahe ka rona dhona hai