qatre gire jo kuchh araq-e-infial ke
dariya baha diye karam-e-zul-jalal ke
pahlu se dil ko le gae wo dekh-bhaal ke
yusuf ko le chale hain kuen se nikal ke
kyun miTTi dene aae jo wada tha ghair se
jate kahan ho aankh mein tum KHak Dal ke
labrez main ne mai se na dekha use kabhi
phuTe nasib hain mere jam-e-sifal ke
hai mujh mein aur kohkan-o-qais mein ye farq
main wahshi-e-azal hun ye diwane haal ke
ho tur par uruj unhen tu ho gharq-e-nil
firaun ye mila tujhe musa ko pal ke
kahti hai baDh ke zulf kamar se dam-e-KHiram
rakh dungi main kamar ke abhi bal nikal ke
rakhengi ab kahin ka na piri ki laghzishen
rakhna qadam 'wasim' bahut hi sambhaal ke

Ghazal
Qatre gire jo kuchh araq-e-infial ke
Waseem Khairabadi