اردو हिंदी
Qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise | Shaahi Shayari
qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

Ghazal

Qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

Aasi Ghazipuri

;

qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise
yani wo main hi kyun na hun tujh sa kahen jise

wo ek nigah ai dil-e-mushtaq is taraf
aashob-gah-e-hashr-e-tamana kahen jise

bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
wo dard dil mein de ki masiha kahen jise

ai husn-e-jalwa-e-ruKH-e-jaanan kabhi kabhi
taskin-e-chashm-e-shauq-e-nazara kahen jise

is zoaf mein tahammul-e-harf-o-sada kahan
han baat wo kahun ki na kahna kahen jise

ye baKHshish apne banda-e-nachiz ke liye
thoDi si punji aisi ki duniya kahen jise

ham-bazm ho raqib to kyun-kar na chheDiye
aahang-e-saz-e-dard ki nala kahen jise

paimana-e-nigah se aaKHir chhalak gaya
sar josh-e-zauq-e-wasl-e-tamanna kahen jise

'asi' jo gul se gal kisi ke hue to kya
mashuq wo ki sab se nirala kahen jise