qatl par bandh chuka wo but-e-gumrah miyan
dekhen ab kis ki taraf hote hain allah miyan
naza mein chashm ko didar se mahrum na rakh
warna ta-hashr ye dekhengi teri rah miyan
tu jidhar chahe udhar ja ki sahar se ta-sham
main bhi sae ki tarah hun tere ham-rah miyan
hum teri chah se chahenge use bhi dil se
jis ko ji chahe use shauq se tu chah miyan
lekin itna hai ki is chah mein dariya hain kai
aise aise kai hain jin ki nahin thah miyan
aage muKHtar ho tum hum jo tumhein chahe hain
is sabab se tumhein hum karte hain aagah miyan
jab dam-e-naza na aaya wo sitamgar to 'nazir'
mar gaya kah ke ye hasrat-zada ai wah miyan

Ghazal
Qatl par bandh chuka wo but-e-gumrah miyan
Nazeer Akbarabadi