اردو हिंदी
Qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se | Shaahi Shayari
qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se

Ghazal

Qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se

Bedam Shah Warsi

;

qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se
tair-e-jaan ke liye par mang lun main tir se

un ko kya dhoka hua mujh na-tawan ko dekh
meri surat kyun milate hain meri taswir se

galiyan de kar bajae qum ke ai rashk-e-masih
aap ne murde jilae hain nai tadbir se

sadqe ai qatil tere mujh tishna-e-didar ki
tishnagi jati rahi aab-e-dam-e-shamshir se

ishwe se ghamze se shoKHi se ada se naz se
miTne wala hun miTa dije kisi tadbir se

ek sawal-e-wasl par do do sazaen din mujhe
tegh se kaTa zaban ko si diye lab tir se

kuchh na ho ai inqilab-e-asman itna to ho
ghair ki qismat badal jae meri taqdir se

zindagi se kyun na ho nafrat ki mahw-e-zulf hun
qaid-e-hasti mujh ko 'bedam' kam nahin zanjir se