qasd jab teri ziyarat ka kabhu karte hain
chashm-e-pur-ab se aaine wazu karte hain
karte izhaar hain dar-parda adawat apni
wo mere aage jo tarif-e-adu karte hain
dil ka ye haal hai phaT jae hai sau jae se aur
agar ek jae se hum us ko rafu karte hain
toDen ek nale se is kasa-e-gardun ko magar
nosh hum is mein kabhu dil ka lahu karte hain
qad-e-dil-ju ko tumhaare nahin dekha shayad
sarkashi itni jo sarw-e-lab-e-ju karte hain

Ghazal
Qasd jab teri ziyarat ka kabhu karte hain
Sheikh Ibrahim Zauq