اردو हिंदी
Qasam na khao taghaful se baz aane ki | Shaahi Shayari
qasam na khao taghaful se baz aane ki

Ghazal

Qasam na khao taghaful se baz aane ki

Fani Badayuni

;

qasam na khao taghaful se baz aane ki
ki dil mein ab nahin taqat satae jaane ki

hamari maut ne kuchh muKHtasar kiya warna
kuchh intiha hi na thi ishq ke fasane ki

giri na barq kuchh is KHauf se mere hote
taDap ke aag bujha dun na aashiyane ki

tumhaara dard to darman bana liya hum ne
ab aur sochiye tadbir dil dukhane ki

zamana kufr-e-mohabbat se kar chuka tha gurez
teri nazar ne palaT di hawa zamane ki

palaT palaT ke qafas hi ki samt jata hun
kisi ne rah batai na aashiyane ki

najat di gham-e-duniya se dard-e-dil ne mujhe
ye ek rah mili gham se chhuT jaane ki

wo subh-e-id ka manzar tere tasawwur mein
wo dil mein aa ke ada tere muskurane ki

bata raha hai har andaz KHak-e-'fani' ka
ye KHak hai usi kafir ke aastane ki