qarar-e-gud-shuda mere KHuda kab aaega
meri duaon mein rang-e-dua kab aaega
badan se bharne lage hain hum apni ruh ke ghaw
hamein saliqa-e-daru-dawa kab aaega
yahin kahin se wo aawaz de raha hai magar
nawah-e-jaan mein mera na-KHuda kab aaega
ghurub hota hua raushni ka sayyara
andhere mausamon mein kya pata kab aaega
samaaton ko meri murgh-zar karne ko
KHamosh dasht mein naKHl-e-sada kab aaega
hazar karwan yun to hain mere sath magar
jo mere nam hai wo qafila kab aaega
fasilen TuT gain ho gae mahal mismar
khanDar mein raat gae dusra kab aaega
Ghazal
Qarar-e-gud-shuda mere KHuda kab aaega
Akram Naqqash