qamar ne raat kaha us ki dekh kar surat
ki main ghulam hun is shakl ka ba-har-surat
hain aaine ke bhi kya talea ab sikandar wah
ki us nigar ki dekhe hai har sahar surat
ajab bahaar hui kal to waqt-e-nazzara
jo main udhar ko hua us ne ki idhar surat
udhar ko jab mein gaya us ne li idhar ko pher
phira main us ne firai jidhar jidhar surat
hazaron phurtiyan main ne to kin par us ne 'nazir'
na dekhne di mujhe apni aankh bhar surat
Ghazal
Qamar ne raat kaha uski dekh kar surat
Nazeer Akbarabadi