اردو हिंदी
Qalb-o-nazar ka sukun aur kahan dosto | Shaahi Shayari
qalb-o-nazar ka sukun aur kahan dosto

Ghazal

Qalb-o-nazar ka sukun aur kahan dosto

Arshad Siddiqui

;

qalb-o-nazar ka sukun aur kahan dosto
ku-e-butan dosto ku-e-butan dosto

mera hi dil hai ki main phirta hun yun KHanda-zan
kam nahin pardes mein dil ka ziyan dosto

jin mein KHulus-e-wafa aur na shuur-e-sitam
mujh ko biThaya hai ye la ke kahan dosto

chaar ghaDi raat hai aao ki hans bol len
jaane sahar tak ho phir kaun kahan dosto

rabt-e-marasim ke baad tark-e-talluq ghalat
aag bujhane se bhi hoga dhuan dosto

lakh chhupo saya-e-gesu-e-shab-rang mein
mil nahin sakti magar gham se aman dosto

shair-e-'arshad' hun main shaer-e-fitrat hun main
miT nahin sakta mera nam-o-nishan dosto