اردو हिंदी
Qalb-o-jaan mein husn ki gahraiyan rah jaengi | Shaahi Shayari
qalb-o-jaan mein husn ki gahraiyan rah jaengi

Ghazal

Qalb-o-jaan mein husn ki gahraiyan rah jaengi

Hasan Nayeem

;

qalb-o-jaan mein husn ki gahraiyan rah jaengi
tu wo suraj hai teri parchhaiyan rah jaengi

ahl-e-dil ko yaad sadiyon aaega mera junun
shohraten hongi fana ruswaiyan rah jaengi

guftugu tujh se karengi meri ghazlen subh-o-sham
teri KHalwat mein meri tanhaiyan rah jaengi

main nikal jaunga apni justuju mein ek din
bazm-e-yaran mein KHayal-araiyan rah jaengi

dur tak koi na hoga naghma-sanjon mein 'naim'
bas chaman mein yaad ki purwaiyan rah jaengi