اردو हिंदी
Qalam bhi raushnai de raha hai | Shaahi Shayari
qalam bhi raushnai de raha hai

Ghazal

Qalam bhi raushnai de raha hai

Mustafa Shahab

;

qalam bhi raushnai de raha hai
mujhe apni kamai de raha hai

main dariya de raha hun kashtiyon ko
wo mujh ko na-KHudai de raha hai

koi KHamosh sa tufan hawa ka
parindon ko sunai de raha hai

meri nazron se ojhal hai magar wo
jidhar dekhun dikhai de raha hai

'shahab' uD kar charaghon tak to pahuncho
agar kuchh kuchh sujhai de raha hai