qais-e-sahra-nashin se le aao
ishq mujh sa kahin se le aao
chand kahta tha aasmanon par
nur mera zamin se le aao
un ke nazuk labon ko chhu jae
aisa jhonka kahin se le aao
raqs karta rahe jo honTon par
aisa misra kahin se le aao
hum manaen to man jaenge
un ko ja kar kahin se le aao
KHak jin ki hayat ka saman
ek chuTki unhin se le aao
hai tamanna 'owais' ke sar ki
ek patthar wahin se le aao

Ghazal
Qais-e-sahra-nashin se le aao
Owaisul Hassan Khan