qaid mein guzregi jo umr baDe kaam ki thi
par main kya karti ki zanjir tere nam ki thi
jis ke mathe pe mere baKHt ka tara chamka
chand ke Dubne ki baat usi sham ki thi
main ne hathon ko hi patwar banaya warna
ek TuTi hui kashti mere kis kaam ki thi
wo kahani ki abhi suiyan niklin bhi na thin
fikr har shaKHs ko shahzadi ke anjam ki thi
ye hawa kaise uDa le gai aanchal mera
yun satane ki to aadat mere ghanshyam ki thi
bojh uThate hue phirti hai hamara ab tak
ai zamin-man teri ye umr to aaram ki thi
Ghazal
Qaid mein guzregi jo umr baDe kaam ki thi
Parveen Shakir