qaid-e-gham-e-hayat se hum ko chhuDa liya
achchha kiya ki aap ne apna bana liya
hone diya na hum ne andhera shab-e-firaq
bujhne laga charagh to dil ko jala liya
duniya ke pas hai koi is tanz ka jawab
diwana apne haal pe KHud muskura liya
kya baat thi ki KHalwat-e-zahid ko dekh kar
rind-e-gunahgar ne sar ko jhuka liya
chup hun tumhaara dard-e-mohabbat liye hue
sab puchhte hain tum ne zamane se kya liya
na-qabil-e-bayan hain mohabbat ki lazzaten
kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne maza liya
roz-e-azal paDi thi hazaron hi nematen
hum ne kisi ka dard-e-mohabbat uTha liya
baDhne lagi jo talKHi-e-gham-ha-e-zindagi
thoDa sa baada-e-gham-e-jaanan mila liya
waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo 'shamim'
jo ye samajh rahe hain ki daman chhuDa liya
Ghazal
Qaid-e-gham-e-hayat se hum ko chhuDa liya
Shamim Karhani