اردو हिंदी
Qahr tha hijrat mein KHud ko be-aman karna tera | Shaahi Shayari
qahr tha hijrat mein KHud ko be-aman karna tera

Ghazal

Qahr tha hijrat mein KHud ko be-aman karna tera

Nashtar Khaanqahi

;

qahr tha hijrat mein KHud ko be-aman karna tera
dasht-e-namahfuz aur us mein makan karna tera

is kahani mein mera kirdar hi goya na tha
yun haqiqat ko meri be-dastan karna tera

chhin gaya aakash ka KHema to sham-e-hijr mein
kuchh dhuen ke baadalon ko aasman karna tera

uf! ye majburi ki jab sare nasheman jal gae
TuTne wale shajar par aashiyan karna tera

bhulna mushkil hai wo manzar ki mujh ko ek din
sar pe rakh kar hath yun be-saeban karna tera

mustaqil la-hasili ko apna hasil man kar
zindagi ko lamha lamha raegan karna tera

bad-gumani ki KHalish paida hui thi jin dinon
un dinon ko mere apne darmiyan karna tera