qafas ko chaman se siwa jaante hain
har ek sans ko hum saba jaante hain
lahu ro ke sincha hai hum ne chaman ko
har ek phul ka majra jaante hain
jise naghma-e-nai samajhti hai duniya
use bhi hum apni sada jaante hain
ishaara kare jo nai zindagi ka
hum us KHud-kushi ko rawa jaante hain
teri dhun mein koson safar karne wale
tujhe sang-e-manzil-numa jaante hain
Ghazal
Qafas ko chaman se siwa jaante hain
Nasir Kazmi