qadam uThe to ajab dil-gudaz manzar tha
main aap-apne liye raste ka patthar tha
dil ek aur hazar aazmaishen gham ki
diya jala to tha lekin hawa ki zad par tha
har aaina meri aankhon se puchh leta hai
wo aks kya hue aabaad jin se ye ghar tha
har ek azab ko main sah gaya magar na mila
wo ek gham jo mere hausle se baDh kar tha
ye wahm tha ki mujhe wo bhula chuka hoga
magar mila to wo meri hi tarah muztar tha
hazar bar KHud apne makan pe dastak di
ek ehtimal mein jaise ki main hi andar tha
tamam umr ki tanhaiyan sameTi hain
yahi mere dar-o-diwar ka muqaddar tha
udas raston mein paiham sulagti subhon mein
jo gham-gusar tha koi to dida-e-tar tha
Ghazal
Qadam uThe to ajab dil-gudaz manzar tha
Mushfiq Khwaja