qadam qadam pe wafa ka dayar rah mein hai
KHusha ki naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar rah mein hai
har ek mauj mein saz-e-fareb hai jis ki
wo ek sarab ba-har-e'tibar rah mein hai
ye uD rahi hai jo KHun-rang KHak har jaanib
kisi shahid-e-junun ka mazar rah mein hai
na koi baat na maqsad na aarzu na sawal
bas ek ghalghala-e-gir-o-dar rah mein hai
sukun-e-shab hama naghma faza-e-shab hama nur
magar abhi koi shab-zinda-dar rah mein hai
pahunch chuke hain idhar ham-safar sar-e-manzil
udhar abhi KHalish-e-intizar rah mein hai
qadam qadam pe gareban qadam qadam pe lahu
yahi to ek subut-e-bahaar rah mein hai
teri talab ke taqaze tere husul ke KHwab
teri talash bahar-e'tibar rah mein hai

Ghazal
Qadam qadam pe wafa ka dayar rah mein hai
Syed Mazhar Gilani