qadam qadam pe kisi imtihan ki zad mein hai
zamin ab bhi kahin aasman ki zad mein hai
har ek gam ulajhta hun apne aap se main
wo tir hun jo KHud apni kaman ki zad mein hai
wo bahr hun jo KHud apne kinare chaTta hai
wo lahar hun ki jo sail-e-rawan ki zad mein hai
main apni zat pe israr kar raha hun magar
yaqin ka khel musalsal guman ki zad mein hai
mere wajud ke andar utarta jata hai
hai koi zahr jo meri zaban ki zad mein hai
lagi hui hai nazar aane wale manzar par
magar ye dil ki abhi raftagan ki zad mein hai
yahi nahin ki faqat rizq-e-KHwab band hua
gada-e-ku-e-hunar bhi sagan ki zad mein hai
ufuq ufuq jo mere nur ka ghubar uDa
ye kaenat mere KHak-dan ki zad mein hai
Ghazal
Qadam qadam pe kisi imtihan ki zad mein hai
Aftab Hussain