qadam qadam nishan DhunDhta raha
main ek naya jahan DhunDhta raha
bahut se qafile mile the rah mein
main apna karwan DhunDhta raha
nikal gaya jo main hudud-e-waqt se
to mujh ko aasman DhunDhta raha
idhar main dar-ba-dar makan ke liye
udhar mujhe makan DhunDhta raha
ajib shaKHs hun KHushi ka ek pal
ghamon ke darmiyan DhunDhta raha
mujhe bayan kar raha tha koi shaKHs
main apni dastan DhunDhta raha
Ghazal
Qadam qadam nishan DhunDhta raha
Azhar Abbas